AFREEN AFREEN
AFREEN AFREEN LYRICS
Aisa dekha naheen khoob-soorat koyi
Jism jaise ajanta kii moorat koyii
Jism jaise nigaahon pah jaadu koyii
Jism naghmah koyi
Jism khush-bu koyi
Jism jaise mahakti huii chandani
Jism jaise machalti huii raagini
Jism jaise kih khilta huaa ik chaman
Jism jaise kih sooraj ki pahli kiran
Jism tarsha huwa dil-kash o dil-nisheen
Sandaleen sandaleen
Marmareen marmareen
Husne jaanaan kii tareef mumkin nahi
Afreen afreen
Afreen afreen
Tu bhii dekhe agar to kahe ham-nisheen
Afreen afreen
Afreen afreen
Husn e janaan ki tareef mumkin nahii
Jane kaise bandhee tu ne akhiyon ke dor
Man mera khincha chala aaya teri or
Mere chehre ke subh zulfon ki shaam
Mera sab kuchh hai piyaa ab se tere naam
Nazron ne teri chhuwa
To hai yih jaadu huaa
Hone lagi hoon main haseenA
afreen Aafreen Aafreen
Chehra ik phool kii tarh shadaab hai
Chehra us ka hai ya koyi mahtab hai
Chehra jaise ghazal chehra jaan-I ghazal
Chehra jaise kalii chehra jaise kanwal
Chehra jaise tasawwur bhii tasweer bhii
Chehra ik khaab bhii chehra taa'beer bhi
Chehra koyi alf lailawi daastaan
Chehra ik pal yaqeen chehra ik pal gumaan
Chehra jaisa ke chehra kaheen bhi nahi
Maah-ru maah-ru mah-jabeen mah-jabeen
Husn e janaan ki tareef mumkin nahi
Afreen afreen
Afreen afreen
Tu bhii dekhe agar to kahe ham-nisheen
Afreen afreen
Afreen afreen
Husn e jaanaan ki tareef mumkin nahi
Aafreen aafreen
Aafreen aafreen
Aafreen
AFREEN AFREEN VIDEO